PHASE Lyrics

“PHASE”

Mene socha na tha, ke vo pal aayega
Ke udaas na tu, mujhse ho paayega

Teri aahat se hi, to dhadkta yeh dil
Hai na tu saamne, to yeh tham jaayega

Teri aadat si hai, zindagi ko meri
Mere jeene  tu, ik wajah ban gayi

Aaj bhi teri yaadein, mujhe sone nahi deti
Aaj bhi teri chahat, mujhe rone nahi deti

Aaj bhi teri….

Madhosh hun main, Madhoshi likhta ja raha
Pyaar ki talash mere saath khuda raha

Bhula raha khudko main aksar
Jese-Jese mera dil ye tere kareeb aa raha

Chaah raha main khudse kya
Main khud nahi hun jaanta

Spane tere dekhkar khuda tujhiko maanta
Hun pyaar mein main, ya hua mujhko pyaar hai

Kesi yeh khumaari, kesa chad raha bukhaar hai
Main hosh mein nahi hun, na aana mujhko hosh mein

Samey ko yahi rok, Mujhko le lo aaghosh mein
Thaam lo mujhe, Meri dhadkano ko thaamo thoda

Pyaar ki yeh raah, Jaha waqt ne bhi saath chhoda
Toda mujhko thoda-thoda, Karke teri yaadon ne

Ris raha dard banke , Ashq meri aankhon se
Main aaj bhi bhatakta, Khud ki talaash mein

Main aaj bhi adhoora, Tujhko paane ki aas mein

Aaj bhi tere yaadein, mujhe sone nahi deti
Aaj bhi teri chahat, mujhe rone nahi deti

Aaj bhi tere yaadein…

Khudko bhul kar, jo main roj tujhpe marta hun
Sehta hun sab, Tujhko khoone se darta hun,Ladta hun

Jo main gussa thoda karta hun
Khawahisho pe teri main, khud ko fana karta hun
Main pyaar tujhse karta hun

Teri galti ho, Aur gunahgaar main
Dil ki kashti pe bas tu hi sawaar hai

Tere kaajal se raatein sawarti hain meri
Teri khushboo se hi to, mehakta hun main

Teri zulfon mein aaj bhi uljha hua hun
Tere seene se aaj bhi lipta hun main

Teri zulfon mein aaj bhi uljha hua hun
Tere seene se aaj bhi lipta hun main

Aaj bhi tere yaadein, mujhe sone nahi deti
Aaj bhi teri chahat, mujhe rone nahi deti

Aaj bhi tere…

 

About Deepanshu Mathur Lyrics

Artist: Deepanshu Mathur
Album: PHASE
Release date: 
2020
Lyricist: Deepanshu Mathur
Music: Deepanshu Mathur
Label: zee music company
Director: Shubham Dolas
Starring: Shakti Parashar, Tanuja Dutta

Leave a Comment